Beti Ali ki Turbat e Zehra Par aayi hai - nauha-- Urdu

Views: 19799
Rating:      
(3 ratings)
Embed this video
Copy the code below and embed on your website, facebook, Friendster, eBay, Blogger, MySpace, etc.
 

Tags

Beti   Ali   ki   Turbat   e   Zehra   Par   aayi   hai   Urdu   hassanazh  

Wriiten by: SHAYAR-E-AHLEBAIT HASAN ALI SHIVJI 'FUGHAN' Beti Ali ki Turbat-e Zehra pe aayee hai , Kurta Lahoo bahara hua bhai ka layee hai kehti e Hussain ki Amma Utho utho Zainab se karbala ka zarra majra suno kehti e Hussain ki Amma Utho utho Amma humara ranjho masahib hai dardnaak, Amma humare khalbo jigar ho chuke hai chaak Amma humare nana ki ummat ne ki daga, Amma humare khoon ko samjhe sab rawa kehti e Hussain ki Amma Utho utho Zainab se karbala ka zarra majra suno Amma taras ke reh gaye paani ko hum tamam, Amma diya na humko kisi ne bhi ek jaam Amma humare Mard tahe teg hogaye, Amma nahake khoon main bechare so gaye kehti e Hussain ki Amma Utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno Amma Pade hai nahar par Abbas Ruth kar, Amma Sakina soti hai zinda main be pidar Amma kaha se Akbar-e-Mehroo ko lau main , Amma kaha se Asgar-e-Nadan ko pau main kehti e Hussain ki Amma Utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno Amma wo mere Aun o Mohammed mere pisar, Maidaan-e-Karbala main pade hai kata ke sar Amma lahoo main doob k Kasim bhi chal base, Amma Hasan ko muh na dikhane ke hum rahe kehti e Hussain ki Amma Utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno Amma Hussain Karbobalahee main rahe gaye, Amma Hussain saare Masahib ko seh gaye Amma Hussain mar gaye be yaaro be watan , Amma hussain ko na mayaser hua kafan kehti e Hussain ki Amma Utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno Amma humari chaadare bhi chin gayee tamam , Amma humare haal par haste the ahle shaam Amma wo shaam-e- Gurbate Shabbir ahha, Amma wo raat kaali wo sunsaan katl gaa kehti e Hussain ki Amma Utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno Amma ye haal -e-Abid-e-Bimaar hogaya , Zalim sipahi ne le liya bistar garib ka Amma kadam kadam pe aseeri rula gayee, gardan main tauk paav main zanjeer aagayee kehti e Hussain ki amma Utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno Amma wo bibiyon ka tadapna wo shor-o-shay, Amma rahegi yaad wo aabon bukh wo bey Amma Rabab roti hai Asgar ko subho shaam , Akbar ko yaad karti hai Laila-e-tashnkaam kehti e Hussain ki amma Utho utho Zainhab se karbala ka zarra majra suno Baazu ke neel dekhiye Amma Khuda gawa, Maktal ki gard bangayee ab shaa Khuda gawa Amma ye bebasi ye qayamat ki bebasi , amma Humare haal par roti hai amma bekasi kehti e Hussain ki Amma Utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno Amma batayiye tho main ab jee k kya karu , kiss tarah ab Hussain ki furkat ka gam sahu aayi Fughan nida ki sare hashr hum bhi ab , Kurta lahoo bhara hua rakh denge peshe rab Beti tumhara Bhai Shah-e- Mashra khain hain, beti tumhare sabr main fathe Hussain hai kehti e Hussain ki Amma Utho utho Zaihab se karbala ka zarra Majra suno

Added by hassanazh on 28-04-2011
Runtime: 9m 44s
Send hassanazh a Message!

(5) | (3) | (3) Comments: 0
TheMuslimTV.net