Warning: file_get_contents(https://video.bunnycdn.com/library//videos/) [function.file-get-contents]: failed to open stream: HTTP request failed! HTTP/1.1 404 Not Found in /home/shiatvnet/public_html/include/function.php on line 6376

Qurani Insaan Ki Jan Ki Ahemiyt Aur Qadar - Urdu

Views: 14553
Rating: ( Not yet rated )
Embed this video
Copy the code below and embed on your website, facebook, Friendster, eBay, Blogger, MySpace, etc.
 

Tags

Value   human   Life   Quran   Qurani   Insaan   Ki   Jan   Ki   Ahemiyt   Aur   Qadar  

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim Qurani Insaan Ki Jan Ki Ahemiyt Aur Qadar Surat Ul Maeda Aayat 32 Mein Allah Tala kay Qadar E Insaan mein Jahan per Lafz Insaan Aya hay wah per Rang, Nasal, Mazhab, Musalman, Kafir, Hindu, Essai, Sikh, Shia, Sunni, Zaban, Mahajir, Pathan, Sindhi, Balochi, Panjabi, Mulk Aur Diger Siyasi, Mazhabi Iqtelaafaat wo Farq Khatam hojatay hain. Aur Sab Insaan Hain. Aayat Tarjuma: Jis nay Aik Insaan ko Qatal Kiya Baagair Iss kay keh uss nay kisi ki Jan Li ho, Ya zameen mein Fasaad(Dehshat gardi) Berpa kiya ho, Aisa hay Jaisay Uss nay Saray(Tamam) Insaano Ko Qatal Kar Diya.......(Bohat Bohat Bara Gunah Aur Bohat Bohat Bara Jurm) Aur Jis Nay Aik Insaan ki Jan ko Bacha Liya Tou Aisa hay Jaisay Keh uss nay Tamam Insaano ko Bacha Liya.....(Bohat Bohat Bara Sawab Aur Ibaadat) Iss Aayat mein Allah Tala Nay Islam mein Insaan ki Jan ki Ahemiyt Aur Qadar Batai hay (Value of Human Life) Yeh Allah Ka Hukam E Insaaniyat hay. Islamiat kay Ustad Bachon ko yeh Zaror yad Karain. Iss ko Kalma ki tarhan sari Zindagi yad rakhna Aur Iss per Aamal Karna Har Muslaman per Lazim hay. Agar Ap kay Dil mein Islam hay tou Ap Allah ko Mantay hoaye Allah ki Di hoi Insaan ki Jan ki Ahemiyt kay Hisab Se(ki wajha Se) Har Mazloom Insaan kay Na-Haq Qatal ko Bohat Bohat Bara Gunah, Bohat Bohat Bara Jurm(Crime) Aur Bohat Bohat Bara Zulm Kehainge Jo kay Quran kay Mutabiq hay \\\" Jaisay Saray(Tamam) Insaano ko Qatal Kar Diya.\\\" Iss Qurani Insaan ki Jan ki Ahemiyt Aur Qadar Ko Bohat say Masjid kay Imam Sahab Aur Aalime Deen Loggon ko Nahin Bata Tay hain Aur Na hi Iss ko Jaga kay Rakhtay hain. Allah ki Di hoi Ahemiyt Aur Qadar ko Na Batana Aur Na Jaga kay Rakhna Islam Aur Allah kay sath Na-Insafi hay. Ap Khud Loggon mein Maloom karain tou pata chalay ga keh yeh na Honay kay Beraaber Bataya Aur Perhaya Giya hay aur Jaraha hay. Allah ki Di hoi Ahemiyt Aur Qadar Say Yeh Islam Aur Emaan ki Buniyad Hay. Iss Qurani Insaan ki Jan ki Ahemiyt Aur Qadar Ko Bohat say madarse kay Ustad Aur School, Colleages, Universities kay Ustad Bhi Students ko Nahin perhatay hain Aur Yad Bhi Nahin Karatay hain. Dehshat Gerdon Aur Unkay Hamiyon kay Ilawa Saray Musalman Reham Dil hain Kyun kay Sab Musalman Rasool SAW ko Rehmatul lil Aalameen SAW Aur Allah kay Qurani Insaan ki Jan ki Ahemiyt Aur Qadar kay Hukum ko Mantay hain. Suratul Ambiya Aayat 107: \\\" Aur Hum nay Aap SAW ko Tamam Jahan Walon kay Liye Rehmat Bana kar hi Bheja hay.\\\" Suratul Ale Imran Ayat 159 mein hay: \\\" Allah ki Rehmat kay Baais Aap SAW Un Per Naram Dil Hain Aur Agar Aap SAW Badzaban Aur Sakht Dil Hotay Tou yeh Sab Aap SAW kay pas say Chatt Jatay( Bhag Kharay Hotay, Gird wo Paish say MuntaShir Ho Jatay) So Aap SAW Un say Dar Guzar Karain Aur Un kay Liye Astaghfaar karain. Yeh Rasool SAW ki Seerat Bhi hay Aur Sunnat bhi. Iss Qurani Insaan ki Jan ki Ahemiyt Aur Qadar Ko Share Kar kay Loggon ko Jaga kay Rakhnay ka Aap ko Boaht Bohat Sawab Milay ga kyun keh Iss say Insaan Ki Jan Bachti hay Aur Mazloom Insaan Ka Na-Haq Qatal Bhi Rukta Hay. Https://www.facebook.com/QuraniQI

Added by Dil_Se_Pakistan on 17-04-2014
Runtime: 3m 59s
Send Dil_Se_Pakistan a Message!

(42) | (0) | (1) Comments: 0
TheMuslimTV.net