Description of Yazeeds wife "Hind" [URDU]

Views: 12714
Rating:      
(1 ratings)
Embed this video
Copy the code below and embed on your website, facebook, Friendster, eBay, Blogger, MySpace, etc.
 

Tags

Hind   Bibi   Zainab   Imam   Hussain   Umme   Kulsoom   Karbala  

Qafla-e-Hussaini ko Damishq laye janay ke kuch dinon baad aik aurat Yazeed ki biwi Hind k pass ayi aur kaha: "Kuch qaidi laye gaye hain jin mein aksariat aurton ki hai. Lakin mujhe maloom nahin k wo kon hain. behtar hai k aap ayen aur haqeeqat maloom karein". Hind Uthi aur Umda libaas pehna, chaadar orhi aur khaadma ko hukm dia k qaid-khanay mein us k liay kursi lagayi jaye. Hind Kursi per baith gayi. Bibi Zainab(S.A) ne ghaur se is aurat ki taraf dekha tou pehchaan lia k ye Hind binte Abdullah hai, jo arsa pehlay Ameer-ul-Momineen(A.S) k ghar mein khaadma thi. Bibi Zainab(S.A) ne Bibi Umm-e-Kulsoom(S.A) se farmaya: "Kia aap ne pehchaana, ye Hind Binte Abdullah hain" Donon bibion ne khaamoshi se apnay saron ko neechay jhuka lia ta-k Hind un ki taraf mutawajja na ho. Lakin Hind ghaur se bibion ko dekh rahi thi, is liay agay barh kar pucha: "Behen, aap donon ne apas mein guftugoo kar k apnay saron ko jhuka lia, kia koi khaas baat hai?" Bbion ne koi jawab na dia. Hind: "Behen, aap kis ilaaqay se hain?" Sani-e-Zahra(S.A) khamosh na reh sakeen aur farmaya: "Hum Madina k rehnay walay hein". Hind ne suna tou ahtraman khari ho gayi aur kaha: "Kia aap Madina walon ko jaanti hain!?" Zainab(S.A): "Aap kin Madina walon k mutalliq daryaft karna chahti hain?" Hind: "Mein apnay aaqa Imam Ali(A.S) k gharanay k mutalliq daryaft karna chahti hun" Zainab(S.A): "Tum ALI(A.S) k gharaanay ko kaisay jaanti ho?" Hind (Imam ki yaad mein ashk-bar hotay huay): "Mein us ghar mein khaadma thi, aur kaam kia karti thi. Mujhe Us ghar se bauhat muhabbat hai" Zainab(S.A): Tum Us ghar k kin afraad ko jaanti ho? Hind: Mein Imam Ali(A.S) ki aulaad ka haal maloom karna chahti hun. Mein Hussain(A.S), Aulaad-e-Hussain(A.S) aur Imam ki paak-baaz sahabzaadion ka haal ahwaal aur khairiat maloom karna chahti hun. Zianab(S.A) - rotay huay: "Aye Hind! Agar Aal-e-Ali k mutalliq puchti ho tou suno! Hum(Aulaad-e-Ali) Madina chor chukay hain aur Un ki Aal ki shahadaton ki khabar Madina pohnchaanay k muntazir hein. Agar HUSSAIN ki haalat se ba-khabar hona chahti ho tou suno! Yazeed k samnay jo ser maujood hai jis se wo lutf-andoz hota hai, wo HUSSAIN ka ser hai. Agar ABBAS-e-JARRI ka puchti ho tou hum un k Jism k tukray aur BE-SER laashay sarzameen-e-Karbala per chor aanay per majboor kar diay gaye! Agar Aulaad-e-Hussain ka puchti ho tou wo beemaar naujawan jo shuddat-e-dard ki waja se chalnay per qaadir nahin hai, wohi Hussain k betay ZAIN-ul-ABIDEEN(A.S) hein! Agar Banaat-e-Ali ka puchti ho, tou MEIN hi ZAINAB BINTE ALI, aur ye UMM-e-KUSLOOM hain. Hind rotay huay: Wa Amma! Wa Sayyada! Wa Hussaina! Kaash! Kaash mein andhi hoti Banaat-e-Fatima(S.A) ko is haalat mein na dekhti! Shuddat-e-Jazbaat mein Hind ne aik pathar apnay ser per maara, jis se khoon jaari hua aur wo ghash kha gayi. Hind ne Zainab(S.A) ko apnay sarhaanay paaya, jo us se farma rahi theen: "Hind! utho apnay ghar jao! Aisa na ho tera shauhar Yazeed tujh per ghazab-naak ho!" Hind: "Khuda ki qasam! Jub tak Aba-Abdullah Hussain ka matam na kar lun, aur Aap Hashmi khawateen ko ghar na le jaun, mein wapas na jaun gi!" Hind uthi, libaas chaak kiay huay aur ser-barahna Yazeed k pass ayi jo darbaar mein damishq k wuzra aur hawaarion k darmiaan betha hua tha. Hind: Aye Yazeed! Kia tu ne Ser-e-muqaddas-e-Hussain, farzand-e-Rasool ko darwaza k kinaaray NAIZAY per latkaanay ka hukm dia hai!? Yazeed jo saltanat, aish o ishrat ka taaj pehnay takht per takkia lagaye baitha tha, achaanak apni zauja ki ghier-mardon k samnay ye haalat dekhi tou maaray gairat k apni jagah se utha aur usay chaadar urhaatay huay bola: "Khuda lanat karay Ibn-e-Ziyad per, jis ne jald-baazi ki aur Hussain(A.S) ko qatal kia!" Hind: "Aye Yazeed! Waaye ho tujh per! Meray mutalliq GHAIRAT se kaam letay ho! Dukhtar-e-Rasool Zahra(S.A) ki betion k mutalliq teri ghairat kaha gayi!? Tu ne un ki chaadarain cheeneen, aur un muqaddas khawateen ko gali kocha o bazaar mein aashkaar kia, aur unhein zindaanon mein qaid kar k khud chain o sukoon ki neend sona chahtay ho! Khuda ki Qasam! Jub tak inhein meray saath nahin bhejo ge, mein tumharay ghar mein qadam nahin rakhun gi!" Is waqiay aur apnay khilaaf aag ki tarah tezi se phailtay hui logon ki nafraton ki waja se yazeed pareshaan rehnay laga, aur usay ahsaas ho gaya k jis ALLAH aur RASOOL k naam ko dabanay aur Jis Deen k khaatmay k khuwab Us k baap daada ne dekhay thay, wo Aal-e-Rasool ko qatal kar k bhi buri tarah nakaam ho raha hai aur qareeb hai k jazbaat aur nafrat mein koi us k khilaaf baghaawat khari kar k us ka khaatma kar de lihaaza bil-aakhir wo Aseeraan-e-karbala se buri tarah wehshat khaanay laga, aur kuch din pehlay tak jin ka mazaq uraya karta tha, aur un se lutf andoz hota tha, ko Riha karnay k baray mein sochnay laga, ta-k us ki hakoomat bachi rahay.

Added by crony14 on 16-01-2012
Runtime: 4m 29s
Send crony14 a Message!

(5) | (2) | (1) Comments: 0
TheMuslimTV.net